In this blog you can find anything what you want, so Friends be ready to scroll the whole world amazing facts, and their whole things which you want to know in a shocking way.

Top 10 Amazing Things About Hotel Jagat Niwas Palace, Udaipur


Top 10 Amazing Things About Hotel Jagat Niwas Palace | Hotel Jagat Niwas Palace, Udaipur

Hotel Mahendra Prakash

1.Hotel Architecture

Hotel Jagat Niwas purane Mewar Architecture ki ek jhalak dikhata hai, jo ki visitors ko ek bada relax aur Haveli atmosphere ka feel deta hain. Iska architecture puri tarah Rajputana look aur unke traditions ko show karta hain.

2. Rooms

Is hotel me 28 deluxe rooms available hain. Rooms bhot hi acchi tarah banaye gaye hain. Isme rooms alag-alag tarah se mojud hai jaise Lake facing view and Non-Lake facing view.

3. Hotel View And Location

Ye hotel puri tarah se purani haveliyon aur mandiro se giri hui hain. Is hotel se bhi bhot hi acche views dekhne ko milte hai aur sath hi Udaipur ke sabhi Palaces ka view bhi milta hai jaise- City Palace, Lake Palace, Monsoon Palace. Ye hotel ek bhot hi pyara Udaipur city ka view deti hain. Hotel se Railway station aur Bus station 3km hai aur airpot lagbgah 25km hain.

4. Hotel Jagat Niwas Palace Facilities

Hotel me aur bhi bhot si facilities hai jaise- WI-FI service, guest city me day trips bhi arrange kar sakte hai, safari excursions aur car rental jaisi facilities bhi hain. Aur sath hi ye hotel sabhi tarah ke credit/debit card accept karta hain.

5. Hotel Rooms Interior

Is hotel ke rooms me bhot si facilities hain. Jaise- satellite TV, private bathroom, rooms with balconies, hot-cold water shower, room service on call.

6. Hotel Highlights

Hotel Jagat Niwas Palace, 17th century ki ek Haveli hai, jo ki bhot romantic city Udaipur me bani hui hain. Yaha aapko kai unique facilities bhi milegi jaise: horse riding, katputli ka show aur ayurvedic massage. Aur sath hi yaha free Wi-Fi bhi available hain.

7. Foods And Drinks

Is hotel ke andar hi ek lakeside restaurant bana hua hai, jo ki Indian, Continental aur Chinese Dishes serve karta hain.  

8. Hotel Jagat Niwas Palace Luxury And Budgtable Hotel In Udaipur

Ye hotel Udaipur ke luxurious hotels me se ek hain. Yaha kai Royal famlies ne apni shadi ke functions bhi celebrate kiye hain. Lekin usi ke sath ye ek budgtable hotel bhi hain. Ordinary citizens ya travellers ko cheap rate me bhi is hotel me rooms available ho jate hain.

9.Hotel Services

Is hotel ki sabhi facilities aur services bhot hi acchi hain. Is hotel me aapko free parking, doctor on call service ke sath hi bhot si services hain.

10. Hotel Jagat Niwas Palace Ordinary Rates

Standard Non Lake Facing A/C- Double 1800
Haveli Non Lake Facing A/C- Double 2995
HeritageLake Facing A/C- Single 3250
Raj Lake Facing A/C- Double 4250
Agar aapko ye Top 10 Amazing Things About Hotel Jagat Niwas Palace ki post pasand aayi. Toh comment, share aur blog ko subscribe jarur kare.

0 comments:

Post a Comment

Tags

Blog Archive