In this blog you can find anything what you want, so Friends be ready to scroll the whole world amazing facts, and their whole things which you want to know in a shocking way.

Top 10 Popular Languages In India In Hindi


Hello visitor jaisa ki aap sabhi jante hi ho ki India culture me tarah tarah ke diffrence hain. Vaise hi India me languages bhi bhot hi alag alag hain. Ye post usi baare me hai ki India me kitni tarah ki languages boli (Speaking) jaati hain.

Popular Indian Languages



Vaise toh India me total 22 official languages boli jaati hai, and 150 languages aisi hain jo official nahi hain. Aur in sabhi 150 languages ki sub languages milkar India me total 1,650 languages boli or suni jaati hain.

Is post me Top 10 official languages ke baare me bataya gya hain, toh friends aaiye jaante hain wo India ki kuch top 10 Languages.

Top 10 Popular Languages In India

10. Odia Language

Number 10 par jo language hai wo Odia language hai. Ye language India ke alag-alag states me boli jaati hain. Alag- alag states ke alawa specially Odia, Jharkhand state me ye languages boli jaati hain.
India me Odia language ke total 3 crore plus speakers hain.

9. Malayalam

Number 9 par jo language hai wo kerala ki mother tongue Malayalam hai, jo kerala ke alawa Lakshadweep, Pondicherry me bhi boli jaati hain.
Malayam language ko total 3.3 crore se bhi kai jyada log bolte hain.

8. Kannada

Number 8 par jo language hai wo Karnataka ki Kannada language hai, Kannada language karnataka ki mother tongue hain. Ye language karnataka ke alawa aas-paas ke states me bhi boli jaati hain.
Kannada language ke karnataka me total 3.8 crore plus speakers hain.

7. Gujarati

Number 7 par aati hain Gujrati language jo pure gujarat me speak ki jaati hain. Aur ye bahut hi easy language hain because hindi bolne wale isse asaani se samajh sakte hain. Gujarat state ke alawa Daman and Diu, Dadra, Nagar Haveli rajasthan ke kuch parts me bhi Gujarati boli jaati hain.
Only Gujarat state me hi is language ke total 4.6 crore plus speakers hain. Gujrat state ki official language Gujarati hain jise yaha ki mother tongue bhi kaha jaata hain.

6. Urdu

Number 6 par aati hai Urdu language jo all India me speak ki jaati hai, iske alawa Bihar, Delhi, Jammu & Kashmir, Uttar pradesh and Telangana states me mostly speak ki jaati hain. Ye bhot hi sweet aur hindi se related language hain.
All India me Urdu language ke overoll 5.1 crore speakers hain.

5. Tamil

Number 5 par jo language hain wo Tamil hain jise tamil state ke log jyadatar bolte hain. Tamil language Tamil Nadu ki mother tongue hai. Tamil language tamil nadu ke alawa pondicherry state me bhi boli jaati hain.
All India me Tamil language ke overall 6 crore speakers hain.

4. Marathi

Number 4 par marathi language aati hai jo maharashtra state ke alawa Daman and Diu or Nagar Haveli me boli jaati hain. Iske alawa all india me bhi iss language ke bahut speakers hain.
India me Marathi language ke total 7.1 crore speakers hain.

3. Telugu

Number 3 par Telugu language aati hai jo Andhra Pradesh, telangana aur Daman state ke alawa aas paas ke states me bhi boli jaati hain.
India me Telugu language ke total 7.4 crore speakers hain.

2. Bengali

Number 2 par Bengali language aati hai jo lagbhag aadhe India me boli jaati hain. West bengal ke alawa tripura, assam, andaman and nicobar, Daman state me bhi boli jaati hain.
Bengali language ke all India me total 8.3 crore speakes hain.

1. Hindi

Hindi language India ki mother tongue hain, jo all india ke all states me speak ki jaati hain. Mother tongue hone ke kaarn India ke all documents all movie, and schools me bhi hindi hi boli jaati hain.
India me Hindi language ke total 42 crore speakers hain.

Friends "Top 10 Popular Languages In India " aapko hamara ye article kaisa laga hume comment karke btaiye aur ise apne friends ke sath social sites facebook, google plus par bhi jarur share kare Thankyou.

1 comment:

  1. I am contented reading this worthwhile information here. This genuinely matched my level of attentiveness. Keep up with this tremendous work, certainly this might be advantageous for a majority of seekers. Continue updating.
    English practice App | English speaking app

    ReplyDelete

Tags

Blog Archive